Thursday, March 29, 2007

Akelapan

Aksar mai tanhaai se bhaaga karti thi

Dara karti thi soone pan se akelepan se

Par aaj yeh tanhaai ajeeb sa sukoon deti hai

Pyara sa marmari sparsh mere khayaalo ko

Aaj phir khaali chaar diwari hai

Par ek vada hai sunhari shaam ka

Shaam jo mohabbat se bhari hai

Saath jo succha hai,anmol hai

Raath jo karvaton mai nahi beet ti

Aankhon me kat jaati hai

Chandi ke sapne dekhte huye

Haantho mai haanth liye

Saanse jo zor ki saath saath chalti hai

Ehsaas jo doudtey hai nabz mai

Kuch kahey ankahey se khayaal

Baat tey hai hum apne honton se

Aaj yeh akelapan such mai sukoon deta hai

Meri ruh ko, mere vajood ko

Or meri zindagi ko

3 comments:

Nitin said...

nice poem.. you should think about publishing them!

Faceless Maverick said...

अच्छी अभिव्यक्ति है.

Yakshita Satyam said...

nice one pooji !!