Thursday, May 29, 2008

Ji Chahe...

Aaj itni khushi de ae khuda
ki khushi se mer jane ko ji chahe
aksar log gamon se merte hai
aaj hansi se mer jaane ko ji chahe
bahaut fenke pathar is dariyae dil mai
aaj to pathar se dil lagane ko ji chahe
bahaut khoya unki galiyon mai apne aapko
deedar ho ek baar to fir gum jane ko ji chahe
wo har bar poochete rahe hamre pyar ka sababab
unke sawal ka jawab bun jane ko ji chahe
bhagti dhaudti in naso ka koi khaas mutlub nahi
uske jaane se ab to jaan jaane ko ji chahe
wo zindagi hi kya jismai tu na ho rubaroo
ab bachi her ghadi ko azmaane ko ji chahey
Yeh waqt kat ta raha mujhe herdum yu hin bewaqt
ab to iski hi maar se mer jane ko ji chahe
aaj itni khushi de khuda
ki khushi se mer jane ko ji chahe

3 comments:

nadeem said...

wo zindagi hi kya jismai tu na ho rubaroo
ab bachi her ghadi ko azmaane ko ji chahey
WAAH!!! kya baat hai.. good keep it up.

vijay kumar sappatti said...

dear madam,

i came first time to your blog and read the posts , this one is very impressive . I liked your poems .

kudos

Pls visit my blog : http://poemsofvijay.blogspot.com/

Silent Screamer said...

New poem New poem New poem!!! Phaleeaassseeee!