So ja jake meri zindagi
Kal phir aa jana naye sooraj ke saath
Nayi kiran ka chola odhe
Ugtey huye apne hi poorane ehsaas se
Cha jana ghunghor baadalon par
Roshini ki parat banke
Dhoomil kar dena taron ko
Jo chamkte hai andhere ke saaye mai
Rhna poore din mere saath Meri banke,
Par anjaan rehna jane pehchano se
Kaat lena har pehar meri aagosh mai
Paas mere dil ki dhudkano ki tarah
Sandhya hogi sirf hamari
Yaad kartey beetengi, din jo guzara
Haatho mai haanth , tu
Zindagi mere saath or wo ehsaas
Dhal jana meri umeedon ki silvaton mai
Jo aaj ke din se maine rakkhi thi
Kho jana meri shoonyata mai
Chand bun ke roshan karna meri icchaye
Raat ke pehar mai doob jana
Mere hriday mai pyar banke
Bus mehsoos karoon tera daudna
Is rago mai athkheliyan karna
Gaake lori kahoo tujhse phir
So ja jake meri zindagi
Kal phir aa jana naye sooraj ke saath
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Wow!!! this one is very beautiful.. awesome poem.. I love it when you write.. every poem brings some kind of freshness.. keep on writing dear..
Coooool stuff!
"So ja jaake meri zindagi!" wah wah wah!
"Kal phir aa jana naye sooraj ke saath" - thats the way is life dear. Everyday should be a new start with freshness of new sunshine.
Cheers!!! Good to see you writing lovely poems.
Post a Comment