kuch likhne ka mun sa hua
to pakadh li kalam haath main
soch ki likh daloo zindagi apni in kaagazo pur
jo khaali hai soone hai or safed bhi hai
kyonki sub kehte hai ki main
rung laati hoon apne saath main
rung mujhme hai ya main rango mai
mujhe ye paheli smaujh na aaii
bus samajh aaya to itna hi
ki haan, hur lamha jiya hai maine
apni hi sahar or subah mai, din kaii
Din jo guzar gaye jaise bhaar or puthjhad
sardiyon ki thund si meri aahe
subha ki onse se meri ankhon ki nami
or din ke ujjale si meri hansi
bus itna hi ya kuch aur bhi
pata nahi kaise dhoondh paoongi
mai apne aap ko is bheed mai
ya phir yu hi chalti jaoongi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Life is a riddle... one who is able to solve it is a successful man/woman!
Post a Comment